raat guzri to yaqin tha ki sawera hoga
raat guzrī to yaqīñ thā ki saverā hogā
kyā ḳhabar thī ki vahī ghor-añdherā hogā
raah meñ jin se thā saaya vo shajar suukh ga.e
ab ḳhudā jaane kahāñ apnā baserā hogā
nā-shanāsān-e-mohabbat se tavaqqo hai fuzūl
jo ḳhud apnā na huā kis tarah merā hogā
ham-nashīno shab-e-furqat ko ġhanīmat samjho
ab koī shaam na hogī na saverā hogā
āstīnoñ meñ hai saañp apne chhupā.e jo shaḳhs
vo mirā dost ho kyoñ koī saperā hogā
tuul khīñchā hai bahut tīra-shabī ne lekin
tabal-e-sub.h ke bajte hī saverā hogā
sub.h-e-sādiq kī shuā.eñ ye batātī haiñ 'vafā'
sub.h-e-kāzib kā bas ab duur añdherā hogā
raat guzri to yaqin tha ki sawera hoga
kya KHabar thi ki wahi ghor-andhera hoga
rah mein jin se tha saya wo shajar sukh gae
ab KHuda jaane kahan apna basera hoga
na-shanasan-e-mohabbat se tawaqqo hai fuzul
jo KHud apna na hua kis tarah mera hoga
ham-nashino shab-e-furqat ko ghanimat samjho
ab koi sham na hogi na sawera hoga
aastinon mein hai sanp apne chhupae jo shaKHs
wo mera dost ho kyon koi sapera hoga
tul khincha hai bahut tira-shabi ne lekin
tabal-e-subh ke bajte hi sawera hoga
subh-e-sadiq ki shuaen ye batati hain 'wafa'
subh-e-kazib ka bas ab dur andhera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.