raat hai iztirab ki chadar
raat hai iztirāb kī chādar
jaise sahrā sarāb kī chādar
aag meñ ham jhulas ga.e itne
oḌh lī phir azaab kī chādar
ek manzar meñ simTe ham donoñ
taan kar intisāb kī chādar
mere jogī abhī tū dhīre bol
maiñ ne taanī hai ḳhvāb kī chādar
tum mujhe aa.ine se lagte ho
jaise hotī hai aab kī chādar
masḳhare-pan se baaz aa jaao
zindagī hai habāb kī chādar
ruuh ne jism oḌh rakkhā hai
ab chaḌhāo gulāb kī chādar
raat hai iztirab ki chadar
jaise sahra sarab ki chadar
aag mein hum jhulas gae itne
oDh li phir azab ki chadar
ek manzar mein simTe hum donon
tan kar intisab ki chadar
mere jogi abhi tu dhire bol
main ne tani hai KHwab ki chadar
tum mujhe aaine se lagte ho
jaise hoti hai aab ki chadar
masKHare-pan se baz aa jao
zindagi hai habab ki chadar
ruh ne jism oDh rakkha hai
ab chaDhao gulab ki chadar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.