raat har moD pe phenke gae patthar kitne
raat har moḌ pe pheñke ga.e patthar kitne
be-qusūroñ ko lagī choT phaTe sar kitne
aaj is amn kī sā'at ko ġhanīmat samjho
kyā ḳhabar chamkeñge kal shahr meñ ḳhanjar kitne
kis qarīne se mirī jeb katar lete haiñ
un ke showcase meñ rakkhe hue paikar kitne
kabhī patjhaḌ kā samāñ hai to kabhī husn-e-bahār
uf na.e ruup badalte haiñ ye manzar kitne
tishnagī itne ġhazab kī hai ki bujhtī hī nahīñ
yuuñ to pī jaatā huuñ har roz samundar kitne
apne qadmoñ se jinheñ rauñdte phirte haiñ ham
unhīñ zarrāt meñ poshīda haiñ jauhar kitne
ai mire zehn kī chingārī tū kab bhaḌkegī
munjamid ho ga.e ehsās ke paikar kitne
fan kī gahrā.ī ko nāpoge bhalā kyā 'parvez'
is samundar meñ to Duube haiñ shanāvar kitne
raat har moD pe phenke gae patthar kitne
be-qusuron ko lagi choT phaTe sar kitne
aaj is amn ki sa'at ko ghanimat samjho
kya KHabar chamkenge kal shahr mein KHanjar kitne
kis qarine se meri jeb katar lete hain
un ke showcase mein rakkhe hue paikar kitne
kabhi patjhaD ka saman hai to kabhi husn-e-bahaar
uf nae rup badalte hain ye manzar kitne
tishnagi itne ghazab ki hai ki bujhti hi nahin
yun to pi jata hun har roz samundar kitne
apne qadmon se jinhen raundte phirte hain hum
unhin zarraat mein poshida hain jauhar kitne
ai mere zehn ki chingari tu kab bhaDkegi
munjamid ho gae ehsas ke paikar kitne
fan ki gahrai ko napoge bhala kya 'parwez'
is samundar mein to Dube hain shanawar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.