raat hoti hai hasin chand jawan hota hai
raat hotī hai hasīñ chāñd javāñ hotā hai
phir bhī is dil pe koī bār-e-garāñ hotā hai
ab bhī yādoñ meñ tirā aks ayaañ hotā hai
jis tarah jhiil kā sahrā meñ gumāñ hotā hai
aaj bhī jalva-gah-e-sang-dilī hai duniyā
raqs to aaj bhī lāshoñ kā yahāñ hotā hai
dekh lo jhāñk ke in āñkhoñ meñ gar dekh sako
varna ye dard kahāñ lab se bayāñ hotā hai
maiñ chalā aaya magar ab bhī tirī mahfil meñ
kyā koī merī tarah tishna-dahāñ hotā hai
ab bhī ummīd hai duniyā to kabhī badlegī
ab bhī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nihāñ hotā hai
aks-e-fardā bhī dikhā detā hai ahl-e-dil ko
ashk-e-be-qadr jo āñkhoñ se ravāñ hotā hai
aa hī jaate haiñ tire vahshī pe vo bhī lamhe
jab tirā dard hī ik rāhat-e-jāñ hotā hai
aa.iye apne qadam aage baḌhā.eñ ki yahāñ
band muflis pe dar-e-pīr-e-muġhāñ hotā hai
terā dīvāna sukūñ paatā hai kyoñ kaun kahe
jab mohabbat kā koī marsiyāñ-ḳhvāñ hotā hai
log jab DhūñDte haiñ aish ke kuchh jalve 'nadīm'
apnī āñkhoñ meñ koī aur samāñ hotā hai
raat hoti hai hasin chand jawan hota hai
phir bhi is dil pe koi bar-e-garan hota hai
ab bhi yaadon mein tera aks ayan hota hai
jis tarah jhil ka sahra mein guman hota hai
aaj bhi jalwa-gah-e-sang-dili hai duniya
raqs to aaj bhi lashon ka yahan hota hai
dekh lo jhank ke in aankhon mein gar dekh sako
warna ye dard kahan lab se bayan hota hai
main chala aaya magar ab bhi teri mahfil mein
kya koi meri tarah tishna-dahan hota hai
ab bhi ummid hai duniya to kabhi badlegi
ab bhi aankhon mein koi KHwab nihan hota hai
aks-e-farda bhi dikha deta hai ahl-e-dil ko
ashk-e-be-qadr jo aankhon se rawan hota hai
aa hi jate hain tere wahshi pe wo bhi lamhe
jab tera dard hi ek rahat-e-jaan hota hai
aaiye apne qadam aage baDhaen ki yahan
band muflis pe dar-e-pir-e-mughan hota hai
tera diwana sukun pata hai kyon kaun kahe
jab mohabbat ka koi marsiyan-KHwan hota hai
log jab DhunDte hain aish ke kuchh jalwe 'nadim'
apni aankhon mein koi aur saman hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.