raat ek be-tab jazbe ki tarah Dhalti rahi
raat ik be-tāb jazbe kī tarah Dhaltī rahī
thak ga.e the shoḳh manzar aur fazā thī so ga.ī
jugnū jugnū sī chamak hai aaj palkoñ par sajī
shorisheñ ehsās kī shāyad javāñ haiñ aaj bhī
irtikāz-e-fikr hai shāyad bhaTaktī āgahī
lamha lamha rūThtī jaa.e mirī āvārgī
gungunātī hai fazā sad-barg sī sad-rang sī
lamha lamha nāchtī hai fikr-o-fan kī tāzgī
ḳhalvatoñ kī guftugū meñ jalvatoñ ke ruup meñ
nikhrī nikhrī sī lage hai soch kī doshīzgī
qad mire taḳh.īl kā shāyad chhalāvā ban gayā
uryāñ uryāñ sī lage hai ḳhush-libāsī shauq kī
shoḳh sī mūrat ajantā kī khaḌī hai rū-ba-rū
marmarīñ añgḌā.iyoñ meñ jalva-gar hai shā.erī
phir dar-e-dil par hai shāyad ik ijāzat kī tarah
khoī khoī dastakoñ kī ik thakan ḳhāmosh sī
jhan jhanan sī ho rahī hai aaj phir man ke gagan
har-nafas āvāz detī hai masāfat duur kī
ye nigāhoñ kī nigāhoñ se nirālī guftugū
phir savāloñ kī javāboñ se huī hai dostī
maslahat to bil-yaqīñ kuchh ādatan majbūr hai
so ga.ī hai āḳhirash ab raat kī bhī tīrgī
dil ke andar mausam-e-sad-rang kī haiñ shorisheñ
be-karāñ hai raushnī bhī be-karāñ hai tīrgī
raat ek be-tab jazbe ki tarah Dhalti rahi
thak gae the shoKH manzar aur faza thi so gai
jugnu jugnu si chamak hai aaj palkon par saji
shorishen ehsas ki shayad jawan hain aaj bhi
irtikaz-e-fikr hai shayad bhaTakti aagahi
lamha lamha ruThti jae meri aawargi
gungunati hai faza sad-barg si sad-rang si
lamha lamha nachti hai fikr-o-fan ki tazgi
KHalwaton ki guftugu mein jalwaton ke rup mein
nikhri nikhri si lage hai soch ki doshizgi
qad mere taKHil ka shayad chhalawa ban gaya
uryan uryan si lage hai KHush-libasi shauq ki
shoKH si murat ajanta ki khaDi hai ru-ba-ru
marmarin angDaiyon mein jalwa-gar hai shaeri
phir dar-e-dil par hai shayad ek ijazat ki tarah
khoi khoi dastakon ki ek thakan KHamosh si
jhan jhanan si ho rahi hai aaj phir man ke gagan
har-nafas aawaz deti hai masafat dur ki
ye nigahon ki nigahon se nirali guftugu
phir sawalon ki jawabon se hui hai dosti
maslahat to bil-yaqin kuchh aadatan majbur hai
so gai hai aaKHirash ab raat ki bhi tirgi
dil ke andar mausam-e-sad-rang ki hain shorishen
be-karan hai raushni bhi be-karan hai tirgi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.