raat jage to kahkashan bole
raat jaage to kahkashāñ bole
dard aa.e to phir jahāñ bole
kyoñ mire paas paas rahte ho
duur jaao to imtihāñ bole
us kī manzil kā har gumāñ ġhā.eb
jis ke raste kā har nishāñ bole
raushnī vo karāñ-karāñ maujūd
tīrgī jis kī be-karāñ bole
ik na ik din zamīn bolegī
roz sar par ye āsmāñ bole
aaj sūraj zarūr niklegā
aaj dard-e-shab-e-nihāñ bole
ham rahe haiñ kahāñ-kahāñ ḳhāmosh
aur jaane kahāñ-kahāñ bole
chāñd sūraj zamīn aur taare
vo bechāra kahāñ-kahāñ bole
chāñd badlī se de sadā us ko
phuul shāḳhoñ ke darmiyāñ bole
mere andar uḌe vo jugnū sā
aur aa kar qarīb-e-jāñ bole
raat jage to kahkashan bole
dard aae to phir jahan bole
kyon mere pas pas rahte ho
dur jao to imtihan bole
us ki manzil ka har guman ghaeb
jis ke raste ka har nishan bole
raushni wo karan-karan maujud
tirgi jis ki be-karan bole
ek na ek din zamin bolegi
roz sar par ye aasman bole
aaj suraj zarur niklega
aaj dard-e-shab-e-nihan bole
hum rahe hain kahan-kahan KHamosh
aur jaane kahan-kahan bole
chand suraj zamin aur tare
wo bechaara kahan-kahan bole
chand badli se de sada us ko
phul shaKHon ke darmiyan bole
mere andar uDe wo jugnu sa
aur aa kar qarib-e-jaan bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.