raat ka aaj hai safar tanha
raat kā aaj hai safar tanhā
raat hai tanhā aur nazar tanhā
muddatoñ yuuñ rahā koī dil meñ
siip meñ jaise hai guhar tanhā
yuuñ ga.ī ruuTh kar bahār ki ab
ho gayā jaise hai shajar tanhā
chupke chupke chalī hai raat kahīñ
aañkh maltā rahe qamar tanhā
shor dhaḌkan kā na ḳhabar dil kī
kaise phir ho ye tai safar tanhā
kaun miltā hai dil sā dīvāna
is se chhūTe to hai bashar tanhā
kāsa-e-dard liye phirtā hai
dil ye 'nusrat' kā hai magar tanhā
raat ka aaj hai safar tanha
raat hai tanha aur nazar tanha
muddaton yun raha koi dil mein
sip mein jaise hai guhar tanha
yun gai ruTh kar bahaar ki ab
ho gaya jaise hai shajar tanha
chupke chupke chali hai raat kahin
aankh malta rahe qamar tanha
shor dhaDkan ka na KHabar dil ki
kaise phir ho ye tai safar tanha
kaun milta hai dil sa diwana
is se chhuTe to hai bashar tanha
kasa-e-dard liye phirta hai
dil ye 'nusrat' ka hai magar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.