raat ka ab koi jadu nahin chalne wala
raat kā ab koī jaadū nahīñ chalne vaalā
ik sitārā hai use din meñ badalne vaalā
dushmanī laakh nibhāte raheñ kaale bādal
shaam se pahle ye sūraj nahīñ Dhalne vaalā
hañsne vaale diye ḳhāmosh na hoñge jab tak
ghar pe Thahrā huā tūfāñ nahīñ Talne vaalā
apne pītal pe chaḌhāte raho sone ke varaq
dil kī duniyā meñ ye sikka nahīñ chalne vaalā
vo mujhe dekh ke phunkār rahā hai aise
azhdahā jaise kisī ko ho nigalne vaalā
ātish-e-ishq hai ye khel na samjhe koī
ḳhaak ho jaatā hai is aag meñ jalne vaalā
chāhe sailāb-e-balā gher le aakar mujh ko
mere bhaa.ī kā nahīñ ḳhuun ubalne vaalā
itnā kamzor bhī samjhe na koī mujh ko 'fahīm'
ġham ke dariyā se ye kāġhaz nahīñ galne vaalā
raat ka ab koi jadu nahin chalne wala
ek sitara hai use din mein badalne wala
dushmani lakh nibhate rahen kale baadal
sham se pahle ye suraj nahin Dhalne wala
hansne wale diye KHamosh na honge jab tak
ghar pe Thahra hua tufan nahin Talne wala
apne pital pe chaDhate raho sone ke waraq
dil ki duniya mein ye sikka nahin chalne wala
wo mujhe dekh ke phunkar raha hai aise
azhdaha jaise kisi ko ho nigalne wala
aatish-e-ishq hai ye khel na samjhe koi
KHak ho jata hai is aag mein jalne wala
chahe sailab-e-bala gher le aakar mujh ko
mere bhai ka nahin KHun ubalne wala
itna kamzor bhi samjhe na koi mujh ko 'fahim'
gham ke dariya se ye kaghaz nahin galne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.