raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga
raat kā husn bhalā kab vo samajhtā hogā
chāñd be-faiz añdheroñ meñ nikaltā hogā
chand lamhoñ kī rifāqat kā asar hai shāyad
dard mīThā sā kahīñ aur bhī uThtā hogā
hichkiyoñ se yahī andāza lagāyā ham ne
yaad koī to dil-o-jān se kartā hogā
saath guzre hue mausam kā tasavvur le kar
bārishoñ meñ vo har ek saal bahaktā hogā
bas yahī soch ke har roz likhā kartā huuñ
vo mirā ġham mire ash’ār meñ paḌhtā hogā
us ke ashkoñ kā gunahgār maiñ ho jā.ūñgā
vo mujhe yaad agar kar ke sisaktā hogā
yaad hoñgī use bhūlī huī qasmeñ 'zākir'
vo mire zikr pe chup-chāp Thahartā hogā
raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga
chand be-faiz andheron mein nikalta hoga
chand lamhon ki rifaqat ka asar hai shayad
dard miTha sa kahin aur bhi uThta hoga
hichkiyon se yahi andaza lagaya hum ne
yaad koi to dil-o-jaan se karta hoga
sath guzre hue mausam ka tasawwur le kar
barishon mein wo har ek sal bahakta hoga
bas yahi soch ke har roz likha karta hun
wo mera gham mere ash’ar mein paDhta hoga
us ke ashkon ka gunahgar main ho jaunga
wo mujhe yaad agar kar ke sisakta hoga
yaad hongi use bhuli hui qasmen 'zakir'
wo mere zikr pe chup-chap Thaharta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.