raat ka kya zikr wo Dhal ke sawera ho gai
raat kā kyā zikr vo Dhal ke saverā ho ga.ī
haañ magar vo chāñdnī jo shab-gazīda ho ga.ī
kuchh samar toḌe ga.e kuchh Tuut kar ḳhud gir ga.e
shāḳh bhī merī tarah ek roz tanhā ho ga.ī
bārisheñ barsī haiñ itnī yaad ke ākāsh se
ḳhvāb kī banjar zamīñ phir se baġhaicha ho ga.ī
dhīre dhīre vo mire dil meñ samundar ban gayā
us kī lahroñ pe mirī hastī safīna ho ga.ī
kyā batā.ūñ mujh ko āḳhir zindagī se kyā milā
'umr jo thī raftagāñ ke ġham meñ zaa.e' ho ga.ī
raat ka kya zikr wo Dhal ke sawera ho gai
han magar wo chandni jo shab-gazida ho gai
kuchh samar toDe gae kuchh Tut kar KHud gir gae
shaKH bhi meri tarah ek roz tanha ho gai
barishen barsi hain itni yaad ke aakash se
KHwab ki banjar zamin phir se baghaicha ho gai
dhire dhire wo mere dil mein samundar ban gaya
us ki lahron pe meri hasti safina ho gai
kya bataun mujh ko aaKHir zindagi se kya mila
'umr jo thi raftagan ke gham mein zae' ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.