raat ke sath hi jab dard jawan hota hai
raat ke saath hī jab dard javāñ hotā hai
mere zaḳhmoñ se nayā shams ayaañ hotā hai
raqs kartā hai sar-e-shām mirī āñkhoñ meñ
ek chehra jo mire dil meñ nihāñ hotā hai
lab ke inkār ko inkār na samjhā jaa.e
raaz ulfat kā nigāhoñ se bayāñ hotā hai
karvaTeñ khīñchtī haiñ silvaToñ meñ tasvīreñ
saath ik ishq ke kyā ḳhuub samāñ hotā hai
ḳhuun ugaltī hai mirī rūh-e-vafā kī dhaḌkan
merī nas nas meñ tirā ishq ravāñ hotā hai
vaqt ke saath jo har gaam badal jaate haiñ
un kā duniyā meñ kahāñ nām-o-nishāñ hotā hai
ham-navā ham-nashīñ ham-rāh bhī jo ho 'rinkī'
ek hī shaḳhs meñ ye jaadū kahāñ hotā hai
raat ke sath hi jab dard jawan hota hai
mere zaKHmon se naya shams ayan hota hai
raqs karta hai sar-e-sham meri aankhon mein
ek chehra jo mere dil mein nihan hota hai
lab ke inkar ko inkar na samjha jae
raaz ulfat ka nigahon se bayan hota hai
karwaTen khinchti hain silwaTon mein taswiren
sath ek ishq ke kya KHub saman hota hai
KHun ugalti hai meri ruh-e-wafa ki dhaDkan
meri nas nas mein tera ishq rawan hota hai
waqt ke sath jo har gam badal jate hain
un ka duniya mein kahan nam-o-nishan hota hai
ham-nawa ham-nashin ham-rah bhi jo ho 'rinki'
ek hi shaKHs mein ye jadu kahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.