raat khole rahi khiDkiyan der tak
raat khole rahī khiḌkiyāñ der tak
chāñd kartā rahā shoḳhiyāñ der tak
kal samundar se sūraj kī bāteñ huiiñ
phir barastī rahīñ badliyāñ der tak
laḌkiyoñ titliyoñ meñ yahī farq hai
gul pe ruktī nahīñ titliyāñ der tak
ye bhī socho ki dariyā se ho kar judā
jī hī saktī nahīñ machhliyāñ der tak
bādaloñ ne pahāḌī qasīda paḌhā
gungunātī rahīñ vādiyāñ der tak
jab daraḳhtoñ pe mausam ke phal aa ga.e
bojh sahtī rahīñ Dāliyāñ der tak
chaḌhte sūraj ko ik din zavāl aa.egā
sab kī hotī nahīñ dilliyāñ der tak
ek qaidī jo baazū kī barrack meñ thā
us kī bajtī rahīñ beḌiyāñ der tak
jeb kī vus'atoñ se jo bāhar huiiñ
bhuuk taktī rahī roTiyāñ der tak
raat khole rahi khiDkiyan der tak
chand karta raha shoKHiyan der tak
kal samundar se suraj ki baaten huin
phir barasti rahin badliyan der tak
laDkiyon titliyon mein yahi farq hai
gul pe rukti nahin titliyan der tak
ye bhi socho ki dariya se ho kar juda
ji hi sakti nahin machhliyan der tak
baadalon ne pahaDi qasida paDha
gungunati rahin wadiyan der tak
jab daraKHton pe mausam ke phal aa gae
bojh sahti rahin Daliyan der tak
chaDhte suraj ko ek din zawal aaega
sab ki hoti nahin dilliyan der tak
ek qaidi jo bazu ki barrack mein tha
us ki bajti rahin beDiyan der tak
jeb ki wus'aton se jo bahar huin
bhuk takti rahi roTiyan der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.