raat ki aaghosh se manus itne ho gae
raat kī āġhosh se mānūs itne ho ga.e
raushnī meñ aa.e to ham log andhe ho ga.e
āñganoñ meñ dafn ho kar rah ga.ī haiñ ḳhvāhisheñ
haath piile hote hote rañg piile ho ga.e
bhiiḌ meñ gum ho ga.e ham apnī uñglī chhoḌ kar
munfarid hone kī dhun meñ auroñ jaise ho ga.e
zinda rahne ke liye kuchh be-hisī darkār thī
sochte rahne se bhī kuchh zaḳhm gahre ho ga.e
is liye mohtāt huuñ apnī numūdārī se maiñ
phal to phal mujh peḌ ke patte bhī mīThe ho ga.e
raat ki aaghosh se manus itne ho gae
raushni mein aae to hum log andhe ho gae
aanganon mein dafn ho kar rah gai hain KHwahishen
hath pile hote hote rang pile ho gae
bhiD mein gum ho gae hum apni ungli chhoD kar
munfarid hone ki dhun mein auron jaise ho gae
zinda rahne ke liye kuchh be-hisi darkar thi
sochte rahne se bhi kuchh zaKHm gahre ho gae
is liye mohtat hun apni numudari se main
phal to phal mujh peD ke patte bhi miThe ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.