raat ki ninden to pahle hi uDa kar le gaya
raat kī nīñdeñ to pahle hī uḌā kar le gayā
rah ga.ī thī aarzū so vo bhī aa kar le gayā
din nikalte hī vo ḳhvāboñ ke jazīre kyā hue
sub.h kā sūraj mirī āñkheñ churā kar le gayā
duur se dekho to ye dariyā hai paanī kī lakīr
mauj meñ aayā to jangal bhī bahā kar le gayā
us ne to in motiyoñ par ḳhaak bhī Daalī nahīñ
aañkh kī thālī meñ dil aañsū sajā kar le gayā
ġhaur se dekhā to dil kī ḳhaak tak baaqī na thī
mujh ko dā'vā thā ki maiñ sab kuchh bachā kar le gayā
raat ki ninden to pahle hi uDa kar le gaya
rah gai thi aarzu so wo bhi aa kar le gaya
din nikalte hi wo KHwabon ke jazire kya hue
subh ka suraj meri aankhen chura kar le gaya
dur se dekho to ye dariya hai pani ki lakir
mauj mein aaya to jangal bhi baha kar le gaya
us ne to in motiyon par KHak bhi Dali nahin
aankh ki thaali mein dil aansu saja kar le gaya
ghaur se dekha to dil ki KHak tak baqi na thi
mujh ko da'wa tha ki main sab kuchh bacha kar le gaya
- Book : makhzan(shazaad ahmad number-) (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.