raat ko mere baam talak mahtab tha ya tum aae the
raat ko mere baam talak mahtāb thā yā tum aa.e the
jhiil kināre raqs parī kā ḳhvāb thā yā tum aa.e the
shaam kisī kī yaad meñ harsū hijr ke bādal chhā.e the
aaj mirī nam āñkhoñ meñ sailāb thā yā tum aa.e the
aa.ī thī ik sard havā le kar sāvan kā giit koī
phūloñ se har ek shajar shādāb thā yā tum aa.e the
aaj ġhamoñ ke saaz pe kis ne hijr kā naġhma chheḌā thā
aaj saroñ ke taar pe ik mizrāb thā yā tum aa.e the
zulf ne terī raat ko jaise gher liyā thā bāñhoñ meñ
raat mire atrāf meñ ik girdāb thā yā tum aa.e the
raat ko mere baam talak mahtab tha ya tum aae the
jhil kinare raqs pari ka KHwab tha ya tum aae the
sham kisi ki yaad mein harsu hijr ke baadal chhae the
aaj meri nam aankhon mein sailab tha ya tum aae the
aai thi ek sard hawa le kar sawan ka git koi
phulon se har ek shajar shadab tha ya tum aae the
aaj ghamon ke saz pe kis ne hijr ka naghma chheDa tha
aaj saron ke tar pe ek mizrab tha ya tum aae the
zulf ne teri raat ko jaise gher liya tha banhon mein
raat mere atraf mein ek girdab tha ya tum aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.