raat kyon muKHtasar nahin hoti
raat kyoñ muḳhtasar nahīñ hotī
hijr kī kyoñ sahar nahīñ hotī
jo guzartī hai hijr meñ mujh par
kyā unheñ kuchh ḳhabar nahīñ hotī
zindagī kyoñ vabāl hai yaaro
chain se kyoñ basar nahīñ hotī
hasrateñ dil meñ haiñ bahut lekin
koī bhī bār-var nahīñ hotī
laag se jo paḌe kisī shai par
vo nazar be-asar nahīñ hotī
kab kiyā hai use nazar-andāz
us ko ye kyoñ ḳhabar nahīñ hotī
kuchh duā meñ asar na ho to na ho
badduā be-asar nahīñ hotī
ḳhāliq-e-juzv-o-kul idhar bhī dekh
kyoñ tavajjoh idhar nahīñ hotī
tum se āshufta-sar kī ai 'ḳhāvar'
baat kuchh mo'atabar nahīñ hotī
raat kyon muKHtasar nahin hoti
hijr ki kyon sahar nahin hoti
jo guzarti hai hijr mein mujh par
kya unhen kuchh KHabar nahin hoti
zindagi kyon wabaal hai yaro
chain se kyon basar nahin hoti
hasraten dil mein hain bahut lekin
koi bhi bar-war nahin hoti
lag se jo paDe kisi shai par
wo nazar be-asar nahin hoti
kab kiya hai use nazar-andaz
us ko ye kyon KHabar nahin hoti
kuchh dua mein asar na ho to na ho
baddua be-asar nahin hoti
KHaliq-e-juzw-o-kul idhar bhi dekh
kyon tawajjoh idhar nahin hoti
tum se aashufta-sar ki ai 'KHawar'
baat kuchh mo'atabar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.