raat mein chand se baaten karna haule haule
raat meñ chāñd se bāteñ karnā haule haule
aañkh ke raste dil meñ utarnā haule haule
titlī phuul havā aur ḳhushbū raat aur jugnū
jhuum ke saaz bajā.e jharnā haule haule
dhaḌkan dhaḌkan raqs kiyā hai aks liyā hai
album yaad kī dekh sañvarnā haule haule
mausam phir tabdīl huā hai tez havā hai
galī se us kī aaj guzarnā haule haule
tum ne sach meñ jhuuT milāyā phir uljhāyā
apnī baat se aap mukarnā haule haule
miTTī meñ jab zor bahut hai shor bahut hai
prem ke baaġh meñ jā ke bikharnā haule haule
dasht se jab sūraj guzrā thā ye 'manzar' thā
dard kā ret pe aaheñ bharnā haule haule
raat mein chand se baaten karna haule haule
aankh ke raste dil mein utarna haule haule
titli phul hawa aur KHushbu raat aur jugnu
jhum ke saz bajae jharna haule haule
dhaDkan dhaDkan raqs kiya hai aks liya hai
album yaad ki dekh sanwarna haule haule
mausam phir tabdil hua hai tez hawa hai
gali se us ki aaj guzarna haule haule
tum ne sach mein jhuT milaya phir uljhaya
apni baat se aap mukarna haule haule
miTTi mein jab zor bahut hai shor bahut hai
prem ke bagh mein ja ke bikharna haule haule
dasht se jab suraj guzra tha ye 'manzar' tha
dard ka ret pe aahen bharna haule haule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.