raat nikla hi tha mahtab to tu yaad aaya
raat niklā hī thā mahtāb to tū yaad aaya
had se jab dil huā betāb to tū yaad aaya
sochtā thā ki tujhe dil se bhulā duuñ lekin
bhūlne ke hue asbāb to tū yaad aaya
zo'm mujh ko thā maiñ us paar pahuñch jā.ūñgā
merī kashtī huī ġharqāb to tū yaad aaya
aish aur kaif ke lamhoñ meñ bhulāyā thā tujhe
ġham kā baḌhne lagā sailāb to tū yaad aaya
shaam se rote hue shaam paḌī āñgan meñ
shal hue jab mire a.asāb to tū yaad aaya
mere hālāt hī baa.is the magar ai jānāñ
chhoḌ kar jab ga.e ahbāb to tū yaad aaya
rat-jage ban ga.e haiñ merā muqaddar 'shāhid'
ḳhvāb hone lage nāyāb to tū yaad aaya
raat nikla hi tha mahtab to tu yaad aaya
had se jab dil hua betab to tu yaad aaya
sochta tha ki tujhe dil se bhula dun lekin
bhulne ke hue asbab to tu yaad aaya
zo'm mujh ko tha main us par pahunch jaunga
meri kashti hui gharqab to tu yaad aaya
aish aur kaif ke lamhon mein bhulaya tha tujhe
gham ka baDhne laga sailab to tu yaad aaya
sham se rote hue sham paDi aangan mein
shal hue jab mere aasab to tu yaad aaya
mere haalat hi bais the magar ai jaanan
chhoD kar jab gae ahbab to tu yaad aaya
rat-jage ban gae hain mera muqaddar 'shahid'
KHwab hone lage nayab to tu yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.