raat raushan thi magar hijr ki mari nikli
raat raushan thī magar hijr kī maarī niklī
phir sar-e-dasht-e-talab terī savārī niklī
thā hī kyā apnā jise apnā banā.e rakhte
jaan sī chiiz thī vo bhī to tumhārī niklī
muḳhtasar kār-e-junūñ ham se huā thā sarzad
daftar-e-‘ishq meñ tafsīl hamārī niklī
maiñ kisī aur jahān-e-ḳhas-o-ḳhāshāk meñ thā
aur kahīñ us gul-e-ḳhūbī kī savārī niklī
rā.egānī kā 'ajab rang khulā hai mujh par
reg-e-maqtal bhī mire ḳhuun se 'aarī niklī
maiñ siyah-baḳht savālī nahīñ tanhā terā
chāñdnī bhī to tire dar kī bhikārī niklī
raat raushan thi magar hijr ki mari nikli
phir sar-e-dasht-e-talab teri sawari nikli
tha hi kya apna jise apna banae rakhte
jaan si chiz thi wo bhi to tumhaari nikli
muKHtasar kar-e-junun hum se hua tha sarzad
daftar-e-‘ishq mein tafsil hamari nikli
main kisi aur jahan-e-KHas-o-KHashak mein tha
aur kahin us gul-e-KHubi ki sawari nikli
raegani ka 'ajab rang khula hai mujh par
reg-e-maqtal bhi mere KHun se 'ari nikli
main siyah-baKHt sawali nahin tanha tera
chandni bhi to tere dar ki bhikari nikli
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 26)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.