raat to shauq se sunti hai kahani meri
raat to shauq se suntī hai kahānī merī
din kahāñ suntā hai āshufta-bayānī merī
dil to kahtā hai ki maiñ kartī rahūñ sair-e-jahāñ
roz hotī hī rahe naql-e-makānī merī
ab to ḳhair aur bhī haiñ chāhne vaale lekin
maañ kī ulfat hai magar sab se purānī merī
laaj rakkhī hai duāoñ kī mire mālik ne
us ne jab dekhī hai ashkoñ kī ravānī merī
ma.anavī bhī hai haqīqī bhī hai merī aulād
baaqī rah jā.egī duniyā meñ nishānī merī
ashk-e-ġham piite hue maiñ ne guzārīñ rāteñ
is bulandī pe hai ab tishna-dahānī merī
itnā masrūf rakhā hai mire mālik ne mujhe
maiñ sunā.ūñ to bhalā kaise kahānī merī
usī college kī fazāoñ ne bulāyā hai mujhe
jis meñ paḌhte hue guzrī hai javānī merī
giit us ke hī sunātā hai sadā vo 'rāhat'
dil ne mere to kabhī baat na maanī merī
raat to shauq se sunti hai kahani meri
din kahan sunta hai aashufta-bayani meri
dil to kahta hai ki main karti rahun sair-e-jahan
roz hoti hi rahe naql-e-makani meri
ab to KHair aur bhi hain chahne wale lekin
man ki ulfat hai magar sab se purani meri
laj rakkhi hai duaon ki mere malik ne
us ne jab dekhi hai ashkon ki rawani meri
manawi bhi hai haqiqi bhi hai meri aulad
baqi rah jaegi duniya mein nishani meri
ashk-e-gham pite hue main ne guzarin raaten
is bulandi pe hai ab tishna-dahani meri
itna masruf rakha hai mere malik ne mujhe
main sunaun to bhala kaise kahani meri
usi college ki fazaon ne bulaya hai mujhe
jis mein paDhte hue guzri hai jawani meri
git us ke hi sunata hai sada wo 'rahat'
dil ne mere to kabhi baat na mani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.