raat us bazm mein tanhai ke mare gae hain
raat us bazm meñ tanhā.ī ke maare ga.e haiñ
sirf ik do hī nahīñ saare ke saare ga.e haiñ
ḳhāmushī toḌ rahī thī hameñ andar se bahut
vo to kahiye ki sar-e-shām pukāre ga.e haiñ
der Tak luTtā rahā jalva-gah-e-nāz meñ dil
duur Tak us kī nigāhoñ ke ishāre ga.e haiñ
raas aatī thī bahut shiddat-e-sahrā jin ko
aaj vo log bhī dariyā ke kināre ga.e haiñ
ġhair mumkin hai ki ab lauT ke aa.eñ tire paas
ye kahāñ le ke hameñ vaqt ke dhāre ga.e haiñ
raat us bazm mein tanhai ke mare gae hain
sirf ek do hi nahin sare ke sare gae hain
KHamushi toD rahi thi hamein andar se bahut
wo to kahiye ki sar-e-sham pukare gae hain
der Tak luTta raha jalwa-gah-e-naz mein dil
dur Tak us ki nigahon ke ishaare gae hain
ras aati thi bahut shiddat-e-sahra jin ko
aaj wo log bhi dariya ke kinare gae hain
ghair mumkin hai ki ab lauT ke aaen tere pas
ye kahan le ke hamein waqt ke dhaare gae hain
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 58)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 60)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.