raat yaadon ki barkha barasti rahi dhyan bichhDe zamanon ka aata raha
raat yaadon ki barkha barasti rahi dhyan bichhDe zamanon ka aata raha
Jamal Panipati
MORE BYJamal Panipati
raat yādoñ kī barkhā barastī rahī dhyān bichhḌe zamānoñ kā aatā rahā
aañkh meñ raakh biite dinoñ kī liye maiñ ga.e mausamoñ ko bulātā rahā
shahr se dasht meñ dasht se shahr meñ lahr sī ik milātā huā lahr meñ
maiñ sar-e-shahr-e-jāñ raqs kartā rahā maiñ sar-e-dasht-e-dil ḳhaak uḌātā rahā
aañkh meñ dar khulā thā tilismāt kā bhed khultā na thā par kisī baat kā
aa.ina sā dikhātī rahīñ hairateñ koī parde uThātā girātā rahā
raat kī oḌhnī ke sitāre bujhe bujhne vaale jo the diip saare bujhe
dard ke chāñd kī chāñdnī meñ magar shahr-e-jāñ raat bhar jagmagātā rahā
kuchh ḳhayāloñ kā ḳhvāboñ kā maiñ naqsh-gar aur to kuchh na thā paas apne magar
kuchh ḳhayāl aañkh meñ sūrat-e-ḳhvāb the naqsh kyā kyā unhī se banātā rahā
raat yaadon ki barkha barasti rahi dhyan bichhDe zamanon ka aata raha
aankh mein rakh bite dinon ki liye main gae mausamon ko bulata raha
shahr se dasht mein dasht se shahr mein lahr si ek milata hua lahr mein
main sar-e-shahr-e-jaan raqs karta raha main sar-e-dasht-e-dil KHak uData raha
aankh mein dar khula tha tilismat ka bhed khulta na tha par kisi baat ka
aaina sa dikhati rahin hairaten koi parde uThata giraata raha
raat ki oDhni ke sitare bujhe bujhne wale jo the dip sare bujhe
dard ke chand ki chandni mein magar shahr-e-jaan raat bhar jagmagata raha
kuchh KHayalon ka KHwabon ka main naqsh-gar aur to kuchh na tha pas apne magar
kuchh KHayal aankh mein surat-e-KHwab the naqsh kya kya unhi se banata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.