raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki
rāteñ vo dil-fareb bahāreñ vo ḳhvāb kī
piirī meñ yaad aa.ī haiñ bāteñ shabāb kī
rindoñ kī bazm aur burā.ī sharāb kī
vaa.iz ne apnī aap hī miTTī ḳharāb kī
yuuñ dhajjiyāñ uḌā.īñ nazar ne naqāb kī
tanvīr chhan rahī hai ruḳh-e-pur-hijāb kī
shabnam dikhā rahī hai jhalak inqalāb kī
maujeñ sunā rahī haiñ kahānī habāb kī
ġhunchoñ ko gudgudā ke jagāyā nasīm ne
phūloñ se kheltī hai kiran āftāb kī
pīr-e-muġhāñ ke zarf pe harf aa rahā hai aaj
ḳhālī dikhā rahā hai surāhī shabāb kī
dil kā lagāo dil se nazar kā nazar se hai
hājat savāl kī na zarūrat javāb kī
apnā tarīq 'zabt' zamāne se hai judā
fikr-e-azāb hai na tamanna savāb kī
raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki
piri mein yaad aai hain baaten shabab ki
rindon ki bazm aur burai sharab ki
waiz ne apni aap hi miTTi KHarab ki
yun dhajjiyan uDain nazar ne naqab ki
tanwir chhan rahi hai ruKH-e-pur-hijab ki
shabnam dikha rahi hai jhalak inqalab ki
maujen suna rahi hain kahani habab ki
ghunchon ko gudguda ke jagaya nasim ne
phulon se khelti hai kiran aaftab ki
pir-e-mughan ke zarf pe harf aa raha hai aaj
KHali dikha raha hai surahi shabab ki
dil ka lagao dil se nazar ka nazar se hai
hajat sawal ki na zarurat jawab ki
apna tariq 'zabt' zamane se hai juda
fikr-e-azab hai na tamanna sawab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.