raaton ki nind uD gai din ka sukun gaya
rātoñ kī niiñd uḌ ga.ī din kā sukūñ gayā
hāthoñ se apnā haal mohabbat meñ yuuñ gayā
āñkheñ ga.iiñ havās ga.e ham bikhar ga.e
jab sab chalā gayā to nikal kar junūñ gayā
dil misl-e-gulsitāñ thā ḳhizāñ meñ ujaḌ gayā
āñkhoñ se qatra-qatra nikal kar ke ḳhuuñ gayā
us se jo āñkheñ chaar huiiñ to ġhazab huiiñ
nazroñ se aaj mere jigar tak fusūñ gayā
batlāo ahl-e-asr ko ahvāl-e-dil 'naqī'
tan se abā va sar se amāma ye kyoñ gayā
raaton ki nind uD gai din ka sukun gaya
hathon se apna haal mohabbat mein yun gaya
aankhen gain hawas gae hum bikhar gae
jab sab chala gaya to nikal kar junun gaya
dil misl-e-gulsitan tha KHizan mein ujaD gaya
aankhon se qatra-qatra nikal kar ke KHun gaya
us se jo aankhen chaar huin to ghazab huin
nazron se aaj mere jigar tak fusun gaya
batlao ahl-e-asr ko ahwal-e-dil 'naqi'
tan se aba wa sar se amama ye kyon gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.