raaton ko jagne ki saza ban ke rah gaya
rātoñ ko jāgne kī sazā ban ke rah gayā
maiñ terī aarzū meñ duā ban ke rah gayā
ik bāzgasht merā muqaddar banī rahī
maiñ gumbadoñ ke beach sadā ban ke rah gayā
har gaam tishnagī kā safar thā mire liye
ghar se chalā to dasht-e-balā ban ke rah gayā
milne kī aarzū ne jalāyā tamām raat
maiñ terī rahguzar pe diyā ban ke rah gayā
gum-sum khaḌī thī raat añdherā sameT kar
koī ḳhayāl thā ki diyā ban ke rah gayā
niklā thā āsmān kī vus.at ko nāpne
maiñ apnī chāhatoñ meñ ḳhalā ban ke rah gayā
'ḳhālid' khaḌā thā maiñ bhī sazā aur jazā ke biich
dhaḌkā jo dil to ḳhauf-e-ḳhudā ban ke rah gayā
raaton ko jagne ki saza ban ke rah gaya
main teri aarzu mein dua ban ke rah gaya
ek bazgasht mera muqaddar bani rahi
main gumbadon ke beach sada ban ke rah gaya
har gam tishnagi ka safar tha mere liye
ghar se chala to dasht-e-bala ban ke rah gaya
milne ki aarzu ne jalaya tamam raat
main teri rahguzar pe diya ban ke rah gaya
gum-sum khaDi thi raat andhera sameT kar
koi KHayal tha ki diya ban ke rah gaya
nikla tha aasman ki wusat ko napne
main apni chahaton mein KHala ban ke rah gaya
'KHalid' khaDa tha main bhi saza aur jaza ke bich
dhaDka jo dil to KHauf-e-KHuda ban ke rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.