raaz dar-parda-e-dastar-o-qaba jaanti hai
raaz dar-parda-e-dastār-o-qabā jāntī hai
kaun kis bhes meñ hai ḳhalq-e-ḳhudā jāntī hai
kaun se diip numā.ish ke liye chhoḌne haiñ
kin charāġhoñ ko bujhānā hai havā jāntī hai
ye kabhī mujh ko akelā nahīñ hone detī
merī tanhā.ī mujhe tum se sivā jāntī hai
aap ījād kareñ jaur-o-sitam roz na.e
bhuul jaane kā hunar merī vafā jāntī hai
nashsha-e-‘ishq mujhe aur zarā kar mad.hosh
be-ḳhudī merī abhī merā pata jāntī hai
dasht manzūr hai lekin mujhe manzūr nahīñ
aisī bastī jo sharāfat ko ḳhatā jāntī hai
kaun se but haiñ jinheñ dast-e-payambar toḌe
ummat-e-hirs to paise ko ḳhudā jāntī hai
nisbateñ laakh badal Daale zamāna lekin
ek duniyā to mujhe ab bhī tirā jāntī hai
ik mirī chashm-e-tamāshā hai ki hotī nahīñ sair
fikr-e-manzil hai ki rukne ko burā jāntī hai
mere alfāz haiñ dar-asl qalam ke aañsū
raushnā.ī lahū banñe kī adā jāntī hai
raaz dar-parda-e-dastar-o-qaba jaanti hai
kaun kis bhes mein hai KHalq-e-KHuda jaanti hai
kaun se dip numaish ke liye chhoDne hain
kin charaghon ko bujhana hai hawa jaanti hai
ye kabhi mujh ko akela nahin hone deti
meri tanhai mujhe tum se siwa jaanti hai
aap ijad karen jaur-o-sitam roz nae
bhul jaane ka hunar meri wafa jaanti hai
nashsha-e-‘ishq mujhe aur zara kar madhosh
be-KHudi meri abhi mera pata jaanti hai
dasht manzur hai lekin mujhe manzur nahin
aisi basti jo sharafat ko KHata jaanti hai
kaun se but hain jinhen dast-e-payambar toDe
ummat-e-hirs to paise ko KHuda jaanti hai
nisbaten lakh badal Dale zamana lekin
ek duniya to mujhe ab bhi tera jaanti hai
ek meri chashm-e-tamasha hai ki hoti nahin sair
fikr-e-manzil hai ki rukne ko bura jaanti hai
mere alfaz hain dar-asl qalam ke aansu
raushnai lahu banne ki ada jaanti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.