raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaa mera
raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaa mera
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
rāz-e-chashm-e-mai-gūñ hai kaif-e-mudda.ā merā
ġhair kī nazar se hai duur mai-kadā merā
vāste kī ḳhūbī ne sahl manzileñ kar diiñ
husn ishq kā rahbar ishq rahnumā merā
kar diyā mujhe be-ḳhud un kī be-niyāzī ne
kah rahā huuñ ḳhud un se dil sambhālnā merā
haa.e ḳhauf-e-badnāmī vaa.e fikr-e-nākāmī
bevafā ke hāthoñ meñ hāsil-e-vafā merā
lutf-e-ḳhalvat-o-jalvat ham na pā sake lekin
dhuum har taraf un kī zikr jā-ba-jā merā
tarz-e-vālihāna kī daad kab milī mujh ko
nāz-e-dost kab niklā sūrat-āshnā merā
sochne lagegī kuchh terī ḳhush-nigāhī bhī
rā.egāñ na jā.egā yuuñ hī dekhnā merā
maiñ ne jab kabhī dekhā sar jhukā liyā tū ne
tū ne jab kabhī dekhā dil taḌap gayā merā
ishrat-e-hijāb az-ḳhud chārasāz-e-dil kyā ho
saaz ho jab ai zālim soz-āshnā merā
merī ḳhasta-hālī ne sa.ī-e-ḳhud-shanāsī kī
un kī ḳhud-numā.ī ne jab kiyā gila merā
hai jo hazrat-e-'manzūr' e'tibār-e-īñ-o-āñ
izn-e-be-ḳhudī le kar pūchhiye patā merā
raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaa mera
ghair ki nazar se hai dur mai-kada mera
waste ki KHubi ne sahl manzilen kar din
husn ishq ka rahbar ishq rahnuma mera
kar diya mujhe be-KHud un ki be-niyazi ne
kah raha hun KHud un se dil sambhaalna mera
hae KHauf-e-badnami wae fikr-e-nakaami
bewafa ke hathon mein hasil-e-wafa mera
lutf-e-KHalwat-o-jalwat hum na pa sake lekin
dhum har taraf un ki zikr ja-ba-ja mera
tarz-e-walihana ki dad kab mili mujh ko
naz-e-dost kab nikla surat-ashna mera
sochne lagegi kuchh teri KHush-nigahi bhi
raegan na jaega yun hi dekhna mera
main ne jab kabhi dekha sar jhuka liya tu ne
tu ne jab kabhi dekha dil taDap gaya mera
ishrat-e-hijab az-KHud chaarasaz-e-dil kya ho
saz ho jab ai zalim soz-ashna mera
meri KHasta-haali ne sai-e-KHud-shanasi ki
un ki KHud-numai ne jab kiya gila mera
hai jo hazrat-e-'manzur' e'tibar-e-in-o-an
izn-e-be-KHudi le kar puchhiye pata mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.