raaz-e-dil fash kiya karte ho kya karte ho
rāz-e-dil faash kiyā karte ho kyā karte ho
naam se mere hayā karte ho kyā karte ho
roz iqrār-e-vafā karte ho kyā karte ho
zaḳhm-e-dil phir se harā karte ho kyā karte ho
tum se mansūb hai ik ahd-e-vafā kā iqrār
tum bhī tauhīn-e-vafā karte ho kyā karte ho
shīsha-e-dil ke baratne kā salīqa sīkho
tum to bas toḌ diyā karte ho kyā ho
shauq ko pahle zarā had se sivā hone do
dard ko had se sivā karte ho kyā karte ho
ishva-e-jāñ-talabī morid-e-ilzām na ho
mujh se kahte raho kyā karte ho kyā karte ho
har ghaḌī us lab-e-shīrīñ kā tasavvur 'aḳhgar'
talḳh jiine kā maza karte ho kyā karte ho
raaz-e-dil fash kiya karte ho kya karte ho
nam se mere haya karte ho kya karte ho
roz iqrar-e-wafa karte ho kya karte ho
zaKHm-e-dil phir se hara karte ho kya karte ho
tum se mansub hai ek ahd-e-wafa ka iqrar
tum bhi tauhin-e-wafa karte ho kya karte ho
shisha-e-dil ke baratne ka saliqa sikho
tum to bas toD diya karte ho kya ho
shauq ko pahle zara had se siwa hone do
dard ko had se siwa karte ho kya karte ho
ishwa-e-jaan-talabi morid-e-ilzam na ho
mujh se kahte raho kya karte ho kya karte ho
har ghaDi us lab-e-shirin ka tasawwur 'aKHgar'
talKH jine ka maza karte ho kya karte ho
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 81)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.