raaz-e-dil jo aadmi dil mein chhupa sakta nahin
raaz-e-dil jo aadmi dil mein chhupa sakta nahin
Satyapal Kaushik Suroor
MORE BYSatyapal Kaushik Suroor
rāz-e-dil jo aadmī dil meñ chhupā saktā nahīñ
vo kisī ko rāzdāñ apnā banā saktā nahīñ
daur-e-gardūñ laakh chāhe imtihāñ letā rahe
chashm-e-tar se maiñ hadīs-e-ġham sunā saktā nahīñ
is tarah mujh ko miTāyā us sitam-ījād ne
ab zamāna bhī nishāñ merā miTā saktā nahīñ
kyoñ na apnī hī hadoñ meñ rah ke jiinā siikh leñ
koī apne aap se bāhar to jā saktā nahīñ
zindagī kyā hai musalsal kashmakash hai ai 'surūr'
maut se pahle koī ārām pā saktā nahīñ
raaz-e-dil jo aadmi dil mein chhupa sakta nahin
wo kisi ko raazdan apna bana sakta nahin
daur-e-gardun lakh chahe imtihan leta rahe
chashm-e-tar se main hadis-e-gham suna sakta nahin
is tarah mujh ko miTaya us sitam-ijad ne
ab zamana bhi nishan mera miTa sakta nahin
kyon na apni hi hadon mein rah ke jina sikh len
koi apne aap se bahar to ja sakta nahin
zindagi kya hai musalsal kashmakash hai ai 'surur'
maut se pahle koi aaram pa sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.