raaz-e-gham kyunkar chhapaun dil mein gham ka josh hai
rāz-e-ġham kyūñkar chhapā.ūñ dil meñ ġham kā josh hai
qatra-qatra ashk-e-ḳhūñ kā nāla-e-ḳhāmosh hai
jalva-e-zebā-e-sāqī sad-chaman bar-dosh hai
sāġhar-e-mai lāla-sāmāñ hai subū gul-posh hai
vasl kī shab se tamannāoñ kā dil meñ josh hai
ranj bhī hai aish-sāmāñ ġham bhī ishrat-kosh hai
anjuman-ārā-e-ālam haiñ majāzī sūrateñ
jalva-e-husn-e-haqīqat aaj tak rū-posh hai
chashm-e-maigūñ ne bharī mahfil ko be-ḳhud kar diyā
kaun le ab jām-e-sahbā kis ko itnā hosh hai
ḳhud nigāh-e-shauq hai josh-e-mohabbat kā subūt
parda-dār-e-rāz go apnā lab-e-ḳhāmosh hai
kis ne aate hī bharī mahfil meñ ulTī hai naqāb
har dar-o-dīvār goyā ā.ina-bar-dosh hai
ik tilism-e-rāz hai saaqī kī chashm-e-sehr-sāz
ahl-e-dil ko be-ḳhudī ahl-e-havas ko hosh hai
kis qadar dilkash hai ye kaif-e-mohabbat kā samāñ
ishq bhī sarshār hai aur husn bhī mad.hosh hai
kyā ḳhabar āñkhoñ ne kyā dekhā harīm-e-nāz meñ
ek bijlī kauñd jaatī thī bas itnā hosh hai
tār-e-dāman ko mire nāseh hiqārat se na dekh
ahd-e-vahshat kā yahī afsāna-e-ḳhāmosh hai
khol de ai chashm-e-maigūñ ahl-e-mahfil kā bharam
kis ko kitnī be-ḳhudī hai kis ko kitnā hosh hai
ek muddat par huā hai aaj un kā sāmnā
aañkh sab kuchh kah rahī hai go zabāñ ḳhāmosh hai
rāt-bhar jis ke liye rahtī thiiñ nīñdeñ be-qarār
ab vahī jān-e-tamannā zīnat-e-āġhosh hai
mai kī sarmastī tire sheroñ meñ paatā huuñ 'valī'
tū magar shaidā-e-rang-e-'ġhālib'-e-mai-nosh hai
raaz-e-gham kyunkar chhapaun dil mein gham ka josh hai
qatra-qatra ashk-e-KHun ka nala-e-KHamosh hai
jalwa-e-zeba-e-saqi sad-chaman bar-dosh hai
saghar-e-mai lala-saman hai subu gul-posh hai
wasl ki shab se tamannaon ka dil mein josh hai
ranj bhi hai aish-saman gham bhi ishrat-kosh hai
anjuman-ara-e-alam hain majazi suraten
jalwa-e-husn-e-haqiqat aaj tak ru-posh hai
chashm-e-maigun ne bhari mahfil ko be-KHud kar diya
kaun le ab jam-e-sahba kis ko itna hosh hai
KHud nigah-e-shauq hai josh-e-mohabbat ka subut
parda-dar-e-raaz go apna lab-e-KHamosh hai
kis ne aate hi bhari mahfil mein ulTi hai naqab
har dar-o-diwar goya aaina-bar-dosh hai
ek tilism-e-raaz hai saqi ki chashm-e-sehr-saz
ahl-e-dil ko be-KHudi ahl-e-hawas ko hosh hai
kis qadar dilkash hai ye kaif-e-mohabbat ka saman
ishq bhi sarshaar hai aur husn bhi madhosh hai
kya KHabar aankhon ne kya dekha harim-e-naz mein
ek bijli kaund jati thi bas itna hosh hai
tar-e-daman ko mere naseh hiqarat se na dekh
ahd-e-wahshat ka yahi afsana-e-KHamosh hai
khol de ai chashm-e-maigun ahl-e-mahfil ka bharam
kis ko kitni be-KHudi hai kis ko kitna hosh hai
ek muddat par hua hai aaj un ka samna
aankh sab kuchh kah rahi hai go zaban KHamosh hai
raat-bhar jis ke liye rahti thin ninden be-qarar
ab wahi jaan-e-tamanna zinat-e-aghosh hai
mai ki sarmasti tere sheron mein pata hun 'wali'
tu magar shaida-e-rang-e-'ghaalib'-e-mai-nosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.