raaz-e-ulfat ki jo duniya ko KHabar ho jaegi
rāz-e-ulfat kī jo duniyā ko ḳhabar ho jā.egī
zindagī dushvār se dushvār-tar ho jā.egī
ehtiyāt-e-shauq-o-zabt-e-ārzū ke bāvajūd
mujh pe jo guzregī un ko bhī ḳhabar ho jā.egī
aap ke dāman se vābasta hai merī zindagī
aap jis aalam meñ chāheñge basar ho jā.egī
maiñ samajhtā huuñ dil-e-ġham-dīda-e-anjām ko
aap ke hañste hī merī aañkh tar ho jā.egī
kaun merī sī kahegā vāqi.a yūñhī sahī
saarī duniyā vo jidhar hoñge udhar ho jā.egī
shikva to kartā magar nīchī nazar kā kyā javāb
aah lab tak aate aate be-asar ho jā.egī
dil baġhair-e-dīd-e-jānāñ qatra-e-sīmāb hai
ik balā aise meñ tā.īd-e-nazar ho jā.egī
dil kī betābi tirā rang-e-taġhāful dekh kar
kaun kahtā thā ki apnī bhī basar ho jā.egī
ab mirī jānib nazar hai jab maiñ dekhūñgā udhar
vo nazar ghabrā ke sarf-e-bām-o-dar ho jā.egī
aap 'naḳhshab' iztirāb-e-dil se kyoñ ghabrā ga.e
rafta-rafta ye kaḌī manzil bhī sar ho jā.egī
raaz-e-ulfat ki jo duniya ko KHabar ho jaegi
zindagi dushwar se dushwar-tar ho jaegi
ehtiyat-e-shauq-o-zabt-e-arzu ke bawajud
mujh pe jo guzregi un ko bhi KHabar ho jaegi
aap ke daman se wabasta hai meri zindagi
aap jis aalam mein chahenge basar ho jaegi
main samajhta hun dil-e-gham-dida-e-anjam ko
aap ke hanste hi meri aankh tar ho jaegi
kaun meri si kahega waqia yunhi sahi
sari duniya wo jidhar honge udhar ho jaegi
shikwa to karta magar nichi nazar ka kya jawab
aah lab tak aate aate be-asar ho jaegi
dil baghair-e-did-e-jaanan qatra-e-simab hai
ek bala aise mein taid-e-nazar ho jaegi
dil ki betabi tera rang-e-taghaful dekh kar
kaun kahta tha ki apni bhi basar ho jaegi
ab meri jaanib nazar hai jab main dekhunga udhar
wo nazar ghabra ke sarf-e-baam-o-dar ho jaegi
aap 'naKHshab' iztirab-e-dil se kyon ghabra gae
rafta-rafta ye kaDi manzil bhi sar ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.