raaz-e-ulfat ko chhupaya hai jafa-ju humne
rāz-e-ulfat ko chhupāyā hai jafā-jū ham ne
har sitam par jo piye ḳhuun ke aañsū ham ne
bāl-o-par ġhaur se sayyād ne dekhe baḌh kar
jab hilā.e haiñ qafas meñ kabhī baazū ham ne
parda-e-abr-e-siyah jaise mah-e-tābāñ par
tere 'āriz pe yūñhī dekhe haiñ gesū ham ne
ek pahlū bhī shab-e-ġham ne na badlā afsos
ho ke betāb bahut badle haiñ pahlū ham ne
baḌh ke ḳhud tū ne safīne kiye nazr-e-tūfāñ
nāḳhudā aisī bhī dekhī hai tirī ḳhū ham ne
bazm meñ tujh ko na paayā to ba-ādāb-e-vafā
DhūñDhā duzdīda-nigāhī se har ik sū ham ne
jur.at-e-arz-e-tamannā kabhī raas aa na sakī
dil pe paayā na tire sāmne qaabū ham ne
jis pe paḌ jaa.eñ vo ā.īna-e-hairat ban jaa.e
dekhā hai un kī nigāhoñ kā ye jaadū ham ne
be-adab kah ke unhoñ ne hameñ Tokā 'ishrat'
pyaar meñ kah diyā jab tum ke 'evaz tū ham ne
raaz-e-ulfat ko chhupaya hai jafa-ju hum ne
har sitam par jo piye KHun ke aansu hum ne
baal-o-par ghaur se sayyaad ne dekhe baDh kar
jab hilae hain qafas mein kabhi bazu hum ne
parda-e-abr-e-siyah jaise mah-e-taban par
tere 'ariz pe yunhi dekhe hain gesu hum ne
ek pahlu bhi shab-e-gham ne na badla afsos
ho ke betab bahut badle hain pahlu hum ne
baDh ke KHud tu ne safine kiye nazr-e-tufan
naKHuda aisi bhi dekhi hai teri KHu hum ne
bazm mein tujh ko na paya to ba-adab-e-wafa
DhunDha duzdida-nigahi se har ek su hum ne
jurat-e-arz-e-tamanna kabhi ras aa na saki
dil pe paya na tere samne qabu hum ne
jis pe paD jaen wo aaina-e-hairat ban jae
dekha hai un ki nigahon ka ye jadu hum ne
be-adab kah ke unhon ne hamein Toka 'ishrat'
pyar mein kah diya jab tum ke 'ewaz tu hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.