raaz khul jae na saqi kahin maiKHane ka
raaz khul jae na saqi kahin maiKHane ka
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
raaz khul jaa.e na saaqī kahīñ maiḳhāne kā
zikr achchhā nahīñ paimāne se paimāne kā
kyā Thikānā hai bhalā aap ke dīvāne kā
zindagī jis ke liye naam hai mar jaane kā
shahr meñ tere maiñ phirtā huuñ yuuñ maarā maarā
jaise ik ajnabī bhaTkā huā vīrāne kā
baat to jab hai ki palkoñ se bhī iz.hār na ho
dil meñ mastūr rahe raaz sanam-ḳhāne kā
jaan de denā bharī bazm meñ āsān nahīñ
sham.a par miTnā hī maqdūr hai parvāne kā
ek lamhe meñ badal jaa.e gulistāñ kā nizām
ham ulaT deñ jo varaq ishq ke afsāne kā
'dard' ke dard ko taskīn mayassar ho jaa.e
ḳhat jo mil jaa.e kabhī aap ke aa jaane kā
raaz khul jae na saqi kahin maiKHane ka
zikr achchha nahin paimane se paimane ka
kya Thikana hai bhala aap ke diwane ka
zindagi jis ke liye nam hai mar jaane ka
shahr mein tere main phirta hun yun mara mara
jaise ek ajnabi bhaTka hua virane ka
baat to jab hai ki palkon se bhi izhaar na ho
dil mein mastur rahe raaz sanam-KHane ka
jaan de dena bhari bazm mein aasan nahin
shama par miTna hi maqdur hai parwane ka
ek lamhe mein badal jae gulistan ka nizam
hum ulaT den jo waraq ishq ke afsane ka
'dard' ke dard ko taskin mayassar ho jae
KHat jo mil jae kabhi aap ke aa jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.