raaz mat apna bata sab ka magar hamraaz ban
raaz mat apnā batā sab kā magar hamrāz ban
gar zamāna apnā karnā ho zamāna-sāz ban
choT khā siine pe apne nāra-e-hū-haq lagā
soz kī tujh ko tamanna hai to misl-e-sāz ban
laakh rotoñ ko hañsāo is ke ham qaa.il nahīñ
murde jī uTTheñ sarāpā suur kī āvāz ban
be-niyāzī pe tirī hai naaz ai maulā mujhe
nāz-parvarda huuñ maiñ tū bhī mujassam naaz ban
raaz mat apna bata sab ka magar hamraaz ban
gar zamana apna karna ho zamana-saz ban
choT kha sine pe apne nara-e-hu-haq laga
soz ki tujh ko tamanna hai to misl-e-saz ban
lakh roton ko hansao is ke hum qail nahin
murde ji uTThen sarapa sur ki aawaz ban
be-niyazi pe teri hai naz ai maula mujhe
naz-parwarda hun main tu bhi mujassam naz ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.