raazdar-e-dil-e-betab hua karta hai
rāzdār-e-dil-e-betāb huā kartā hai
ashk ganjīna-e-nāyāb huā kartā hai
go na saaqī hai na mahfil hai magar zindāñ meñ
der tak zikr-e-mai-e-nāb huā kartā hai
talḳh hotī to haiñ ġhairoñ kī jafā.eñ lekin
talḳh-tar ta.ana-e-ahbāb huā kartā hai
fikr-e-ārā.ish-e-gulshan se junūñ hai āzād
hosh jāñ-dāda-e-asbāb huā kartā hai
merī duniyā-e-mohabbat meñ sukūn-e-sāhil
nazr-e-jaulānī-e-girdāb huā kartā hai
ashk-e-ḳhuddār jo sharminda na ho dāman se
rashk-e-sad-gauhar-e-ḳhush-āb huā kartā hai
nuur jo ḳhaak ke zarroñ ko daraḳhshānī de
faḳhr-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb huā kartā hai
raazdar-e-dil-e-betab hua karta hai
ashk ganjina-e-nayab hua karta hai
go na saqi hai na mahfil hai magar zindan mein
der tak zikr-e-mai-e-nab hua karta hai
talKH hoti to hain ghairon ki jafaen lekin
talKH-tar tana-e-ahbab hua karta hai
fikr-e-araish-e-gulshan se junun hai aazad
hosh jaan-dada-e-asbab hua karta hai
meri duniya-e-mohabbat mein sukun-e-sahil
nazr-e-jaulani-e-girdab hua karta hai
ashk-e-KHuddar jo sharminda na ho daman se
rashk-e-sad-gauhar-e-KHush-ab hua karta hai
nur jo KHak ke zarron ko daraKHshani de
faKHr-e-KHurshid-e-jahan-tab hua karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.