rab hi jaane mere pichhe kaisi baaten karte hain
rab hī jaane mere pīchhe kaisī bāteñ karte haiñ
lekin mere dushman aksar merī bāteñ karte haiñ
ham jaise ḳhāmosh-tabī’at jab bhī bāteñ karte haiñ
patthar dil bhī ro paḌte haiñ aisī bāteñ karte haiñ
sīdhe-sāde log haiñ sāhib ham ko ye fan aatā na.ī
kis ke pīchhe kis ke muñh par kaisī bāteñ karte haiñ
ab bhī terī yaad basī hai ghar ke kone kone meñ
ab bhī ghar ke dīvār-o-dar terī bāteñ karte haiñ
aao kabhī aur chhup kar dekho tum ham ko tanhā.ī meñ
ḳhud se bāteñ karne vaale kaisī bāteñ karte haiñ
ḳhush-fahmī meñ jiine vaale ham ko sun kar chauñk paḌe
un ko ye mā'lūm nahīñ thā ham bhī bāteñ karte haiñ
rab hi jaane mere pichhe kaisi baaten karte hain
lekin mere dushman aksar meri baaten karte hain
hum jaise KHamosh-tabi’at jab bhi baaten karte hain
patthar dil bhi ro paDte hain aisi baaten karte hain
sidhe-sade log hain sahib hum ko ye fan aata nai
kis ke pichhe kis ke munh par kaisi baaten karte hain
ab bhi teri yaad basi hai ghar ke kone kone mein
ab bhi ghar ke diwar-o-dar teri baaten karte hain
aao kabhi aur chhup kar dekho tum hum ko tanhai mein
KHud se baaten karne wale kaisi baaten karte hain
KHush-fahmi mein jine wale hum ko sun kar chaunk paDe
un ko ye ma'lum nahin tha hum bhi baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.