rab karega ab meri ummid-afza sabr kar
rab karegā ab mirī ummīd-afzā sabr kar
e'timād-e-dil mujhe kahtā hai merā sabr kar
jāñ-fishānī kar ke maiñ ne DhūñDhā merā jāñ-fizā
bol kar jāñ-bāz mujh ko us ne bolā sabr kar
dāstāñ āsāñ nahīñ hotī mohabbat kī magar
sar chaḌhā mujh pe junūñ dīvāngī kā sabr kar
jab musalsal maiñ ḳhudā se minnateñ kartā rahā
tab mujhe bolā ki maiñ ne bhī kiyā thā sabr kar
ik sire se bun diyā hai us ne mujh ko lams se
ik sire se phir udheḌegā zamāna sabr kar
rab karega ab meri ummid-afza sabr kar
e'timad-e-dil mujhe kahta hai mera sabr kar
jaan-fishani kar ke main ne DhunDha mera jaan-fiza
bol kar jaan-baz mujh ko us ne bola sabr kar
dastan aasan nahin hoti mohabbat ki magar
sar chaDha mujh pe junun diwangi ka sabr kar
jab musalsal main KHuda se minnaten karta raha
tab mujhe bola ki main ne bhi kiya tha sabr kar
ek sire se bun diya hai us ne mujh ko lams se
ek sire se phir udheDega zamana sabr kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.