rab ne ata kiye hain muqaddar alag alag
rab ne atā kiye haiñ muqaddar alag alag
hote haiñ shohratoñ ke bhī manzar alag alag
māyūs vo bhī aur pareshān maiñ bhī huuñ
khaa.ī bichhaḌ ke choT diloñ par alag alag
ik ghar ko apne ḳhuun se sīñchā thā baap ne
beTe ne pal meñ kar diye do ghar alag alag
do log banñā chāhte the mīr-e-kārvāñ
donoñ kī zid pe ho ga.e lashkar alag alag
shabnam bane hue kabhī sho.ala bane hue
ashkoñ ke bhī mizāj haiñ ruḳh par alag alag
zaḳhmī kiyā gayā mujhe lafzoñ ke vaar se
hote haiñ dostoñ ke bhī ḳhanjar alag alag
har koī kar rahā hai numā.ish vajūd kī
dariyā alag alag to samundar alag alag
andāz sirf terā nahīñ munfarid 'hilāl'
saare suḳhnavaroñ ke haiñ tevar alag alag
rab ne ata kiye hain muqaddar alag alag
hote hain shohraton ke bhi manzar alag alag
mayus wo bhi aur pareshan main bhi hun
khai bichhaD ke choT dilon par alag alag
ek ghar ko apne KHun se sincha tha bap ne
beTe ne pal mein kar diye do ghar alag alag
do log banna chahte the mir-e-karwan
donon ki zid pe ho gae lashkar alag alag
shabnam bane hue kabhi shoala bane hue
ashkon ke bhi mizaj hain ruKH par alag alag
zaKHmi kiya gaya mujhe lafzon ke war se
hote hain doston ke bhi KHanjar alag alag
har koi kar raha hai numaish wajud ki
dariya alag alag to samundar alag alag
andaz sirf tera nahin munfarid 'hilal'
sare suKHnawaron ke hain tewar alag alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.