rab ne jab lamhe diye inam ke
rab ne jab lamhe diye in'ām ke
jism ko kapḌe mile ehrām ke
mere bāloñ meñ safedī aa ga.ī
aa ga.e haiñ din mire anjām ke
vo bhī haiñ bāhar mirī auqāt se
jo khilaune haiñ bahut kam daam ke
'ishq maslak hai hamārā aaj bhī
'ishq vaale haiñ hamāre kaam ke
vo qutub ho yā qalandar yā valī
sab ke sab mīnār haiñ islām ke
mere bachcho maiñ retire ho gayā
din tumhāre aa ga.e haiñ kaam ke
ḳhauf taarī hai miThā.ī vaale par
tazkire hone lage haiñ aam ke
jab mujhe piinā pilānā hī nahīñ
paas kyoñ 'ilyās' baiThūñ jaam ke
rab ne jab lamhe diye in'am ke
jism ko kapDe mile ehram ke
mere baalon mein safedi aa gai
aa gae hain din mere anjam ke
wo bhi hain bahar meri auqat se
jo khilaune hain bahut kam dam ke
'ishq maslak hai hamara aaj bhi
'ishq wale hain hamare kaam ke
wo qutub ho ya qalandar ya wali
sab ke sab minar hain islam ke
mere bachcho main retire ho gaya
din tumhaare aa gae hain kaam ke
KHauf tari hai miThai wale par
tazkire hone lage hain aam ke
jab mujhe pina pilana hi nahin
pas kyon 'ilyas' baiThun jam ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.