rabt-e-ehsas kahan ab dil-e-nakaam ke sath
rabt-e-ehsās kahāñ ab dil-e-nākām ke saath
kyoñ bujhā jaatā hai ye tīrgi-e-shām ke saath
kyā ḳhabar un kā pata paa.e na paa.e ye bhī
maiñ to chalne ko chalūñ gardish-e-ayyām ke saath
ab to vo bhī nahīñ jo de mujhe do lamhe sukūñ
dil meñ jo dard sā rahtā thā tire naam ke saath
kaun jaane ki kahāñ hogā vo ālām-talab
dil ko dekhā to thā TuuTe hue asnām ke saath
hāl-e-dil jaane vo kis rang meñ ta.abīr kareñ
chand aañsū bhī ga.e haiñ mire paiġhām ke saath
sochtā huuñ ki lagā.ūñgā kise apne gale
be-ḳhudī aa.ī agar talḳhī-e-ālām ke saath
laakh TuuTā ho 'sabā' lab se lagā lo apne
rūh-e-mai-ḳhāna khīñchī aatī ho jis jaam ke saath
rabt-e-ehsas kahan ab dil-e-nakaam ke sath
kyon bujha jata hai ye tirgi-e-sham ke sath
kya KHabar un ka pata pae na pae ye bhi
main to chalne ko chalun gardish-e-ayyam ke sath
ab to wo bhi nahin jo de mujhe do lamhe sukun
dil mein jo dard sa rahta tha tere nam ke sath
kaun jaane ki kahan hoga wo aalam-talab
dil ko dekha to tha TuTe hue asnam ke sath
haal-e-dil jaane wo kis rang mein tabir karen
chand aansu bhi gae hain mere paigham ke sath
sochta hun ki lagaunga kise apne gale
be-KHudi aai agar talKHi-e-alam ke sath
lakh TuTa ho 'saba' lab se laga lo apne
ruh-e-mai-KHana khinchi aati ho jis jam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.