rabt-e-husn-o-ishq azal se sachcha ye afsana hai
rabt-e-husn-o-ishq azal se sachcha ye afsana hai
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
rabt-e-husn-o-ishq azal se sachchā ye afsāna hai
sham.a hai jis mahfil meñ raushan dekho vahīñ parvāna hai
dil ke sivā kuchh paas nahīñ hai dil terā nazrāna hai
yaad tirī rahne ko hamesha hāzir ye kāshāna hai
us kā chehra sūraj aisā us kā ġham sūraj kī tapish
chāñd use kis tarah se kahiye chāñd to ik vīrāna hai
paas thā jab tū kitnī umañgeñ is dil meñ ābād rahīñ
jab se huā hai mujh se judā tū dil ye nahīñ vīrāna hai
ġhairoñ kā ham shikva kareñ kyoñ apnoñ ne jab dī hai daġhā
jis dil ko samjhe the apnā aaj vahī begāna hai
dil kā lahū ye aañsū ban ke aañkh se Tap Tap girne lagā
samjho use paanī kā na qatra ashk nahīñ durdāna hai
sun ke mirī rūdād-e-ġhamgīñ hañs kar bolā vo zālim
lākhoñ sune haiñ aise qisse ye bhī ik afsāna hai
baiThe rahe sab aire-ġhaire ġhair thā ik maiñ hī jaise
mujh ko uThāyā bazm se us ne kah ke ye dīvāna hai
badlī hai gulshan kī havā kyoñ bigḌā mizāj-e-bulbul kyoñ
anjuman-e-gul hai abtar kyoñ sabza kyoñ begāna hai
apne qadah kī ḳhair manā kar mai-kash apnī raah lage
rind-e-ḳharābātī ke dam se ābād ab mai-ḳhāna hai
tū ho salāmat dam rahe terā mai-kade meñ hai shor 'fazā'
aaya aaya saaqī merā gardish meñ paimāna hai
rabt-e-husn-o-ishq azal se sachcha ye afsana hai
shama hai jis mahfil mein raushan dekho wahin parwana hai
dil ke siwa kuchh pas nahin hai dil tera nazrana hai
yaad teri rahne ko hamesha hazir ye kashana hai
us ka chehra suraj aisa us ka gham suraj ki tapish
chand use kis tarah se kahiye chand to ek virana hai
pas tha jab tu kitni umangen is dil mein aabaad rahin
jab se hua hai mujh se juda tu dil ye nahin virana hai
ghairon ka hum shikwa karen kyon apnon ne jab di hai dagha
jis dil ko samjhe the apna aaj wahi begana hai
dil ka lahu ye aansu ban ke aankh se Tap Tap girne laga
samjho use pani ka na qatra ashk nahin durdana hai
sun ke meri rudad-e-ghamgin hans kar bola wo zalim
lakhon sune hain aise qisse ye bhi ek afsana hai
baiThe rahe sab aire-ghaire ghair tha ek main hi jaise
mujh ko uThaya bazm se us ne kah ke ye diwana hai
badli hai gulshan ki hawa kyon bigDa mizaj-e-bulbul kyon
anjuman-e-gul hai abtar kyon sabza kyon begana hai
apne qadah ki KHair mana kar mai-kash apni rah lage
rind-e-KHarabaati ke dam se aabaad ab mai-KHana hai
tu ho salamat dam rahe tera mai-kade mein hai shor 'faza'
aaya aaya saqi mera gardish mein paimana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.