rabt mein pahlu-e-nairang kahan se aaya
rabt meñ pahlū-e-nairañg kahāñ se aayā
sāhab-e-arz ko ye Dhañg kahāñ se aayā
ḳhushnumā aks hue ḳhaar kī sūrat kaise
aa.ine sab the to phir sañg kahāñ se aayā
gard kī zad meñ hai ḳhushbū se mahaktā āñgan
ḳhvāb meñ dahr kā āhañg kahāñ se aayā
sabz hai vādī-e-be-āb meñ gulshan merā
shab kī tasvīr meñ ye rañg kahāñ se aayā
dost dushman haiñ sabhī vaz.a pe qaa.em 'rāhat'
kyā kahūñ jiit ke maiñ jañg kahāñ se aayā
rabt mein pahlu-e-nairang kahan se aaya
sahab-e-arz ko ye Dhang kahan se aaya
KHushnuma aks hue KHar ki surat kaise
aaine sab the to phir sang kahan se aaya
gard ki zad mein hai KHushbu se mahakta aangan
KHwab mein dahr ka aahang kahan se aaya
sabz hai wadi-e-be-ab mein gulshan mera
shab ki taswir mein ye rang kahan se aaya
dost dushman hain sabhi waza pe qaem 'rahat'
kya kahun jit ke main jang kahan se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.