rabt sahra se arsh ka dekha
rabt sahrā se arsh kā dekhā
bādaloñ kā jo qāfila dekhā
kahkashāñ kā vo aks hī to thā
maiñ ne lahroñ meñ rāsta dekhā
Daalī Daalī pe baiTh kar maiñ ne
phal chakhā aur zā.iqa dekhā
charḳh kā pairahan to mailā thā
dahr kā pairahan nayā dekhā
itnā hī qurb kā huā ehsās
jitnā mābain fāsla dekhā
jā.eza jab liyā bulandī kā
sheb se us kā vāsta dekhā
yuuñ lagā har javāñ muammar hai
us ke hāthoñ meñ jo asā dekhā
vo to bagule kā ham-navā hogā
jis ko maiñ Taañg par khaḌā dekhā
be-karāñ is liye huā sāgar
us ne sāhil ko jo ḳhafā dekhā
kyā gagan arz kī kashish meñ thā
us ko jo ḳhaak se aTā dekhā
mīr-e-maidāñ kī to hai baat alag
kyā mirā ran meñ hausla dekhā
sar judā thā sharīr se jaise
maiñ ne bas peḌ kā tanā dekhā
har tarah us kā ehtirām kiyā
jis ko apne se kuchh baḌā dekhā
tū to maidān kā makīñ thā 'figār'
kab pahāḌoñ kā silsila dekhā
rabt sahra se arsh ka dekha
baadalon ka jo qafila dekha
kahkashan ka wo aks hi to tha
main ne lahron mein rasta dekha
Dali Dali pe baiTh kar main ne
phal chakha aur zaiqa dekha
charKH ka pairahan to maila tha
dahr ka pairahan naya dekha
itna hi qurb ka hua ehsas
jitna mabain fasla dekha
jaeza jab liya bulandi ka
sheb se us ka wasta dekha
yun laga har jawan muammar hai
us ke hathon mein jo asa dekha
wo to bagule ka ham-nawa hoga
jis ko main Tang par khaDa dekha
be-karan is liye hua sagar
us ne sahil ko jo KHafa dekha
kya gagan arz ki kashish mein tha
us ko jo KHak se aTa dekha
mir-e-maidan ki to hai baat alag
kya mera ran mein hausla dekha
sar juda tha sharir se jaise
main ne bas peD ka tana dekha
har tarah us ka ehtiram kiya
jis ko apne se kuchh baDa dekha
tu to maidan ka makin tha 'figar'
kab pahaDon ka silsila dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.