rabt shishe se talluq hai na kuchh jam ke sath
rabt shīshe se ta.alluq hai na kuchh jaam ke saath
nisbateñ jab se huiiñ dil ko tire naam ke saath
zindagī ajnabī jazbāt kā ik sangam hai
kaif-e-āġhāz bhī hai hasrat-e-anjām ke saath
jām-o-mīnā se alag us meñ hai ik kaif-o-surūr
aao kuchh duur chaleñ gardish-e-ayyām ke saath
zindagī meñ baḌe mafhūm nazar ā.eñge
chand lamhe to guzāro kisī nākām ke saath
shā.erī ā.ina-e-zīst meñ ḳhud-bīnī hai
apnī ik raah alag hai ravish-e-ām ke saath
chārasāzoñ kā na honā baḌī ne.amat hai 'shafīq'
ranj-o-ġham ham ne uThā.e baḌe ārām ke saath
rabt shishe se talluq hai na kuchh jam ke sath
nisbaten jab se huin dil ko tere nam ke sath
zindagi ajnabi jazbaat ka ek sangam hai
kaif-e-aghaz bhi hai hasrat-e-anjam ke sath
jam-o-mina se alag us mein hai ek kaif-o-surur
aao kuchh dur chalen gardish-e-ayyam ke sath
zindagi mein baDe mafhum nazar aaenge
chand lamhe to guzaro kisi nakaam ke sath
shaeri aaina-e-zist mein KHud-bini hai
apni ek rah alag hai rawish-e-am ke sath
chaarasazon ka na hona baDi neamat hai 'shafiq'
ranj-o-gham hum ne uThae baDe aaram ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.