rafaqaton ka bharam toD jaane wala nahin
rafāqatoñ kā bharam toḌ jaane vaalā nahīñ
muqāble meñ agar aayā tar-nivāla nahīñ
paḌī huī hai nasab qais se milāne kī
kisī ne dasht mukammal magar khañgālā nahīñ
yahāñ buland sadā.eñ lagā ġhubār uḌā
dayār-e-ishq hai tahzīb kā havāla nahīñ
hamāre ahd ke suqrāt maslahat-bīñ haiñ
kisī ke haath meñ bhī zahr kā pyālā nahīñ
safar meñ rahne se is ko qarār rahtā hai
ye zaḳhm dil kā hai paañv kā koī chhālā nahīñ
havā ke haath lagī ḳhushbūoñ zarā sun lo
sambhāle kaun agar phuul ne sambhālā nahīñ
ye jis ne rizq kī tañgī pe ḳhud-kushī kar lī
kahīñ samāj ne mil kar to maar Daalā nahīñ
kareñge yūñhī sadā intizār sāhil par
guhar tahoñ se samundar ne jo uchhālā nahīñ
ye ehtiyāt pasandī kahāñ se aa.ī hai
agar zabāñ pe koī maslahat kā taalā nahīñ
kahāniyāñ na tarāsheñ ḳhayālī duniyā kī
kahāñ jahān meñ tafrīq past-o-bālā nahīñ
ijāra-dāriyāñ qaa.em haiñ kis liye 'jāzib'
koī havāla agar mo'atabar havāla nahīñ
rafaqaton ka bharam toD jaane wala nahin
muqable mein agar aaya tar-niwala nahin
paDi hui hai nasab qais se milane ki
kisi ne dasht mukammal magar khangala nahin
yahan buland sadaen laga ghubar uDa
dayar-e-ishq hai tahzib ka hawala nahin
hamare ahd ke suqraat maslahat-bin hain
kisi ke hath mein bhi zahr ka pyala nahin
safar mein rahne se is ko qarar rahta hai
ye zaKHm dil ka hai panw ka koi chhaala nahin
hawa ke hath lagi KHushbuon zara sun lo
sambhaale kaun agar phul ne sambhaala nahin
ye jis ne rizq ki tangi pe KHud-kushi kar li
kahin samaj ne mil kar to mar Dala nahin
karenge yunhi sada intizar sahil par
guhar tahon se samundar ne jo uchhaala nahin
ye ehtiyat pasandi kahan se aai hai
agar zaban pe koi maslahat ka tala nahin
kahaniyan na tarashen KHayali duniya ki
kahan jahan mein tafriq past-o-baala nahin
ijara-dariyan qaem hain kis liye 'jazib'
koi hawala agar mo'atabar hawala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.