rafiq dost muhib mujhko shaq sab hi the
rafīq dost muhib mujh ko shaaq sab hī the
agarche kahne ko ye ham-mazāq sab hī the
maiñ imtihān kī copy ko saada chhoḌ aayā
dimāġh meñ to siyāq-o-sabāq sab hī the
tamām raat rahā dil meñ habs kā manzar
khule hue to dar-e-ishtiyāq sab hī the
usī mahal se thī vābasta shahr kī azmat
shikasta yuuñ to dar-o-bām-o-tāq sab hī the
hamārā gaañv fasādoñ kī zad se duur rahā
agarche log sharārat meñ taaq sab hī the
rafiq dost muhib mujh ko shaq sab hi the
agarche kahne ko ye ham-mazaq sab hi the
main imtihan ki copy ko sada chhoD aaya
dimagh mein to siyaq-o-sabaq sab hi the
tamam raat raha dil mein habs ka manzar
khule hue to dar-e-ishtiyaq sab hi the
usi mahal se thi wabasta shahr ki azmat
shikasta yun to dar-o-baam-o-taq sab hi the
hamara ganw fasadon ki zad se dur raha
agarche log shararat mein taq sab hi the
- Book : Aiwan (Pg. 17)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.