rafiq se hi lage hain na ab adu se hum
rafīq se hī lage haiñ na ab adū se ham
nikal ga.e haiñ bahut duur rañg-o-bū se ham
tirī talāsh meñ gum kar deñ apnī hastī ko
ye aarzū hai guzar jaa.eñ aarzū se ham
sivā.e apne kise deñ gunāh kā ilzām
kafan-ba-dosh khaḌe haiñ lahū lahū se ham
zabān-e-shīrīñ diloñ meñ fasād-o-fitna-o-shar
ki baaz aa.e mohabbat kī guftugū se ham
na.ī balā liye ugtā hai har nayā sūraj
'naresh' aise bañdhe ek fitna-ḳhū se ham
rafiq se hi lage hain na ab adu se hum
nikal gae hain bahut dur rang-o-bu se hum
teri talash mein gum kar den apni hasti ko
ye aarzu hai guzar jaen aarzu se hum
siwae apne kise den gunah ka ilzam
kafan-ba-dosh khaDe hain lahu lahu se hum
zaban-e-shirin dilon mein fasad-o-fitna-o-shar
ki baz aae mohabbat ki guftugu se hum
nai bala liye ugta hai har naya suraj
'naresh' aise bandhe ek fitna-KHu se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.