rafta rafta ban na jae pyar afsana tera
rafta rafta ban na jae pyar afsana tera
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
rafta rafta ban na jaa.e pyaar afsāna tirā
dekh kar kahte haiñ mujh ko log dīvāna tirā
sham.a kī lau par hī jal jaanā jise maqsūd hai
vo kahīñ kyoñ jaañ bachā.e haT ke parvāna tirā
ham tire dar se chale jā.eñge ik din nā-murād
kyā kahegā phir tujhe har apnā begāna tirā
pyaar kī ik niiñd mīThī apnī āñkhoñ meñ liye
baiThe baiThe dekhtā hai ḳhvāb dīvāna tirā
phir kisī ke kaam aa.e ye to is qābil nahīñ
rah gayā hai ban ke 'ālam' dil ye kāshāna tirā
rafta rafta ban na jae pyar afsana tera
dekh kar kahte hain mujh ko log diwana tera
shama ki lau par hi jal jaana jise maqsud hai
wo kahin kyon jaan bachae haT ke parwana tera
hum tere dar se chale jaenge ek din na-murad
kya kahega phir tujhe har apna begana tera
pyar ki ek nind miThi apni aankhon mein liye
baiThe baiThe dekhta hai KHwab diwana tera
phir kisi ke kaam aae ye to is qabil nahin
rah gaya hai ban ke 'alam' dil ye kashana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.