rafta-rafta dil-e-betab Thahar jaega
rafta-rafta dil-e-betāb Thahar jā.egā
rafta-rafta tirī nazroñ kā asar jā.egā
dād-bedād kī is meñ koī taḳhsīs nahīñ
naqsh-e-hastī meñ koī rang to bhar jā.egā
aap agar mā.il-e-tajdīd-e-sitam ho jaa.eñ
rang-e-tā'līm-e-vafā aur nikhar jā.egā
arz-e-tishna pe baras abr-e-ravāñ khul ke baras
baat rah jā.egī ye vaqt guzar jā.egā
dhuup aur chhāñv musallam magar apnī had meñ
vaqt pāband nahīñ hai ki Thahar jā.egā
raushnī meñ hai charāġhoñ ke tale tārīkī
ham samajhte the ki māhaul sañvar jā.egā
'ishq to apnī jagah kaif-e-musalsal hai 'urūj'
nashsha-e-bāda nahīñ hai jo utar jā.egā
rafta-rafta dil-e-betab Thahar jaega
rafta-rafta teri nazron ka asar jaega
dad-bedad ki is mein koi taKHsis nahin
naqsh-e-hasti mein koi rang to bhar jaega
aap agar mail-e-tajdid-e-sitam ho jaen
rang-e-ta'lim-e-wafa aur nikhar jaega
arz-e-tishna pe baras abr-e-rawan khul ke baras
baat rah jaegi ye waqt guzar jaega
dhup aur chhanw musallam magar apni had mein
waqt paband nahin hai ki Thahar jaega
raushni mein hai charaghon ke tale tariki
hum samajhte the ki mahaul sanwar jaega
'ishq to apni jagah kaif-e-musalsal hai 'uruj'
nashsha-e-baada nahin hai jo utar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.