rafta-rafta gham se dil ko rabt paida ho gaya
rafta-rafta ġham se dil ko rabt paidā ho gayā
sahte sahte saḳhtiyāñ patthar kaleja ho gayā
ek hī hichkī meñ saarā ḳhatm qissa ho gayā
aaj bīmār-e-mohabbat kā mudāvā ho gayā
ġhair ke mazkūr par takrār-o-hujjat baḌh ga.ī
bātoñ hī bātoñ meñ un se aaj jhagḌā ho gayā
hijr kī ye raat yā-rab kis tarah hogī basar
shaam hī se ghar meñ mere hashr barpā ho gayā
kaam sīdhe-pan se ulfat meñ koī chaltā nahīñ
aa ga.e jab ham kajī par charḳh sīdhā ho gayā
dasht thā sunsān bilkul qais ke marne ke baad
dam se vahshī ke tire ābād sahrā ho gayā
ho ga.e mujh se muḳhātab hāl-e-dil sunte rahe
merī sūrat par unheñ dushman kā dhokā ho gayā
ye shab-e-hijrāñ kī tārīkī kā hai ab tak asar
roz-e-raushan meñ mire ghar meñ añdherā ho gayā
chain tujh ko bhī na hāsil ho kabhī kambaḳht dil
terī betābi se maiñ ulfat meñ rusvā ho gayā
ye haqīqat hai use hāsil huī me.arāj-e-ishq
yaar ke naqsh-e-qadam par jis kā sajda ho gayā
ishq ke āzār paiham maiñ ne jhele is qadar
ek ibrat kā muraqqā maiñ sarāpā ho gayā
hamdamo kaise batā.eñ lazzat-e-zaḳhm-e-darūñ
ban gayā nāsūr vo jo zaḳhm achchhā ho gayā
hijr kī tārīk shab us par balāoñ kā hujūm
kyā batā.eñ raat ko is ghar meñ kyā kyā ho gayā
un kī paḌnā thī nazar pahlū se dil jaatā rahā
dam-zadan meñ sāneha ye rūh-farsā ho gayā
aa paḌī hai is tarah kī ham-nashīñ uftād-e-ishq
zindagī kā zikr kyā dushvār marnā ho gayā
ġham ġhalat karte haiñ 'ishrat' is tarah se hijr meñ
ro liye kuchh der dil kā bojh halkā ho gayā
rafta-rafta gham se dil ko rabt paida ho gaya
sahte sahte saKHtiyan patthar kaleja ho gaya
ek hi hichki mein sara KHatm qissa ho gaya
aaj bimar-e-mohabbat ka mudawa ho gaya
ghair ke mazkur par takrar-o-hujjat baDh gai
baaton hi baaton mein un se aaj jhagDa ho gaya
hijr ki ye raat ya-rab kis tarah hogi basar
sham hi se ghar mein mere hashr barpa ho gaya
kaam sidhe-pan se ulfat mein koi chalta nahin
aa gae jab hum kaji par charKH sidha ho gaya
dasht tha sunsan bilkul qais ke marne ke baad
dam se wahshi ke tere aabaad sahra ho gaya
ho gae mujh se muKHatab haal-e-dil sunte rahe
meri surat par unhen dushman ka dhoka ho gaya
ye shab-e-hijran ki tariki ka hai ab tak asar
roz-e-raushan mein mere ghar mein andhera ho gaya
chain tujh ko bhi na hasil ho kabhi kambaKHt dil
teri betabi se main ulfat mein ruswa ho gaya
ye haqiqat hai use hasil hui mearaj-e-ishq
yar ke naqsh-e-qadam par jis ka sajda ho gaya
ishq ke aazar paiham main ne jhele is qadar
ek ibrat ka muraqqa main sarapa ho gaya
hamdamo kaise bataen lazzat-e-zaKHm-e-darun
ban gaya nasur wo jo zaKHm achchha ho gaya
hijr ki tarik shab us par balaon ka hujum
kya bataen raat ko is ghar mein kya kya ho gaya
un ki paDna thi nazar pahlu se dil jata raha
dam-zadan mein saneha ye ruh-farsa ho gaya
aa paDi hai is tarah ki ham-nashin uftad-e-ishq
zindagi ka zikr kya dushwar marna ho gaya
gham ghalat karte hain 'ishrat' is tarah se hijr mein
ro liye kuchh der dil ka bojh halka ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.